bachpan ka zamaana hota tha,
khushiyon ka khazana hota tha.
khabar nahin hoti thi subahon ki,
na shaam ka thikaana hota tha.
chaahat chaand ko paane ki aur,
dil tiltli ka deewana hota tha.
rone ki wajah na hoti thi,
bas hasne ki reet hoti thi.
kitaab wo maayne samjha nahin paati thi,
jo amma ki loriyan samjhaati thi.
tab abba ke diye do rupaiye mein
chaan samet saare taare dikh jaate the.
tab dadaji ki chadi mein qutub minar dikh jaata tha,
aur dadi ki dhundhlayi ainak se sab saaf nazar aata tha.
jab aadhi neend mein maa khilaati thi,
maa ki god hi sone ka thikana hota tha.
jab shaadi ki samajh na thi humko,
fir bhi dulha banne ki hi chah hoti thi.
bachpan ka zamaana hota tha,
khushiyon ka khazana hota tha.
poem by salil.....how z that.............
No comments:
Post a Comment